badge

Search Flipkart

Tuesday, June 10, 2014

Dynamic sql table from dual

select DBMS_RANDOM.string('X', 15) FirstName,DBMS_RANDOM.string('A', 5) LastName, DBMS_RANDOM.string('U', 5) Email from dual CONNECT BY LEVEL <= 20

Friday, June 6, 2014

What is love

Kisi bhi do risto ko agar jode rakhne waali kuchh anmol vastu hai to wo hai- Prem. Prem parmatma hai. Prem ishwar hai. Prem ishwar ke prati asim aastha ka soochak hai. Prem khoobsoorti ka parichayak hai. Prem manavata ka parichayak hai. Prem khusi ki agadh anubhoti hai. Prem insaan ke ander aisi sakti ka sancharan karti hai jo ek insaan ke jeevan ke saare khataso ko pal bhar me samapt kar deti hai.
Prem ke sambandh me to ek baat sat pratisat satya hai ki isse jitna baanta jaaye, ye utna hi badhta hai. Iska swaroop utna hi vishal hota jaata hai jiske ander sampoorn manavata sameti jaa sakti hai. Prem ka aanchal itna bada hota hai jisme hum sampoorn jagat ko abhibhoot kar sakte hai. Prem hi jeevan hai. Prem hi jeevan ko disha deti hai. Prem ke aabhav me jeevan neeras hai. Jis jeevan me prem ka samavesh naa ho wo jeevan, jeevan se paripoorn nahi hai. Jaha jeevan hai waha prem ka hona laajmi hai.
Prem shabd ko samjhne ke liye Maa evam Santaan ka udaharan sabse satik baithta hai. Udaharan ke taur pe, agar maa ke chaar santaan hai to maa ka prem kisi ek santaan ke liye jaada or kisi dusre santaan ke liye kam nahi hota hai. Maa ki mamta or apne santaan ke prati prem sabke liye samaan hota hai. Jo dard or bhavnaaye bade santaan ke liye hota hai wohi prem or bhavnaaye dusre santaano ke prati bhi hota hai. Maa ke liye apne santaano me koi apriya nahi hota, maa ke liye sabi priya hote hai.
Prem ko simaaon me banndha nahi ja sakta. Ye simmaon, jaati, dharm sabse pare hota hai. Prem agaadh hota hai. Jis prakaar sagar ke jal astar ko nahi maapa jaa sakta usi prakaar hridaya pe vidyamaan prem ke star ko nahi maapa jaa sakta. Prem ke ander aisi sakti hoti hai jo har burai evam kathinaai pe jeet haasil kar leti hai. Insaan, jeev-jantu, ped-paudha ke prati prem pradarshan hi ishwar ki poojan evam vandan hai. Ishwar ke dwara nirmit har vastu se prem karna hi maanav jeevan ka lakshya evam prathmikata honi chahiye.
Antatogatva, Prem ke sambandh me maanavjaati se yahi aahvaan karna chahunga ki Jeevan me safal hona ho ya samaj me ekroopta laani hoya kisi ke dil me swayam ke liye sthan prapt karni ho to uska ek maatra saral upaaye yahi hai ki hume Prem karna sikhna hoga. Hume apne vyaktitva se nafrat, irshya evam krodh ko koso dur rakhna hoga kyuki ye saari chije Prem evam Parmatma ke sabse bade dushman hai. ye manavjaato ko patan ki or le jaati hai.